Tujhe paane ki meri koi tamanna nahi,
Kyunki tu jo mil gaya, toh main khud ko kho dungi.
Teri khuddari par bhi mujhe naaz hai,
Aur teri zinda-dili par bhi.
Tere har us maasoom sawaal par pyaar aata hai,
Aur un jheel si aankhon par
Jo chamak uthti hain jawaab sunne par.
Mera naam tum bhale hi galat lete ho,
Par jis apne-pan se pukaarte ho,
ab bas wahi accha lagne laga hai.
Teri hansi ki goonj uss baarish ki tarah hai,
Jo dharti par girkar banjar zameen ko bhi upjau bana de.
Tere saath wo kadvi coffee bhi meethi lagti hai,
Jo main tujhse nazrein churaakar peeti hoon.
Meri jaan, tujhe khone ka darr bhi hai,
Aur tujhe apna banane ka haq bhi nahi.