Dil ne ek bhool ki,
teri gali se guzarne ki gustaki ki
Mann ko ye raah kuch galat sa laga
par fir bhi usme kho jane ka zid sa kiya
zameen ko phoolo se sajayi hui thi aur
taaro ne assaman ko alankrit kar diya tha
unn phoolke kaate bhi door se sundar dikh rahe they.
pholo ke mehek se nasha sa ho gaya tha
Aur nayan toh sukh ke maare nach rahe they
Khushi se pairo ko chot
mehsoos hi nahi hui
Par jab phool murja gaye aur Khushboo chali gayi
Khoon se latpat pair bade dard kiye