author

Saranya Prabhakaran

22 November, 2024

Aaj ke sone ke bandobast ho gaya

Kal ki roti ka intezaam karna hai

Bacho ke school ki fees ka bandobast ho gaya

Ab kitabon ka intezaam karna hai

Maa ki davaionka ka bandobast kar diya

ab ghar ke ration ka intezaam karna hai

Aaj ke hisse ki aansuon ka bandobast ho gaya

Kal ek dafa muskurane ka intezaam karna hai

Comments (3)

wave

Press ESC to close