author

Saranya Prabhakaran

10 September, 2024

Aaj Baadal bade muskura rahe hai

Koi khaas baat, ya yuhi dil khush hai inka

Chand bhi kahi chupa baita hai inme aur

Gaurud apni sham ki sair ke maze le rahe hai.

 

Aaj aasman me jo noor hai,

Mano kahi kalakaro ne milkar chitra banaya ho

Ek taraf doobta hue sooraj ne gerua rang diya hai

Kuch taraf barish ne dhusar rang diya aur

Kahi surya aur dhool ki kirne takkrakar Neela kar diya.

Comments (3)

wave

Press ESC to close