Haal hi mein aise shaksh se mulakaat hui,
jisse milke dil me wo meetha dard laut aya
jo kafi samay se ghum sa gaya tha
waise toh duniya me gam ki kami toh nahi hai
aur hum insaan bhi toh dard ki talaash me hote hai.
wo kuch aisa tha,
uske chehre pe muskaan aur aankhon me dard tha
iss tarah ghum ho gayi uske geet mein
ki khud hi ulaj gayi.
uske shayari aur kisse sunke,
aankhon me nami aur hoton pe muskurahat thi
kuch aise badal gaye mere bhi andaaz ki,
Heavy metal se hindi purane gaane sunne lagi,
English se hindi me nazme likhne lagi